Ye andhera ye talatum ye hawaoon ka kharoosh

Ye andhera ye talatum ye hawaoon ka kharoosh
Is main taroon ki subuk naram ziya kya kartee
Talkhee-e-zist se kadva hua aashiq ka mizaj
Nigah-e-yar ki masum ada kya kartee

Safar aasan tha to manzil bhi roshan thi
Aaj kis darja par asarar hain raheen apani
Kitani parachaiyan aati hain tajalli ban kar
Kitane jalvon se uljhati hain nighahen apani

Post a Comment

0 Comments